اردو हिंदी
Umr bhar shauq ka daftar likkha | Shaahi Shayari
umr bhar shauq ka daftar likkha

Ghazal

Umr bhar shauq ka daftar likkha

Prem Kumar Nazar

;

umr bhar shauq ka daftar likkha
lafz ek bhi na muassar likkha

hum ne ashraf ko bhi ahqar likkha
aadmi tha jise bandar likkha

umr waise to safar mein guzri
likhne baiThe to ise ghar likkha

mausam-e-gul ki bashaarat malum
paDh liya mathe pe patthar likkha

KHak se KHak hui hai paida
lakh sahra ko samundar likkha

hum wo bimar hain achchhe na hue
tum abas nusKHa mukarrar likkha

dastan phir bhi mukammal na hui
sab ka sab hum ne to azbar likkha