umr bhar ki talKH bedari ka saman ho gain
hae wo raaten ki jo KHwab-e-pareshan ho gain
main fida us chand se chehre pe jis ke nur se
mere KHwabon ki fazaen yusufistan ho gain
umr bhar kam-baKHt ko phir nind aa sakti nahin
jis ki aankhon par teri zulfen pareshan ho gain
dil ke pardon mein thin jo jo hasraten parda-nashin
aaj wo aankhon mein aansu ban ke uryan ho gain
kuchh tujhe bhi hai KHabar o sone wale naz se
meri raaten luT gain ninden pareshan ho gain
hae wo mayusiyon mein meri ummidon ka rang
jo sitaron ki tarah uTh uTh ke pinhan ho gain
bas karo o meri rone wali aankhon bas karo
ab to apne zulm par wo bhi pashiman ho gain
aah wo din jo na aae phir guzar jaane ke baad
hae wo raaten ki jo KHwab-e-pareshan ho gain
gulshan-e-dil mein kahan 'aKHtar' wo rang-e-nau-bahaar
aarzuen chand kaliyan thin pareshan ho gain
Ghazal
Umr bhar ki talKH bedari ka saman ho gain
Akhtar Shirani