اردو हिंदी
Ummid par hamari ye duniya khari nahin | Shaahi Shayari
ummid par hamari ye duniya khari nahin

Ghazal

Ummid par hamari ye duniya khari nahin

Dr. Azam

;

ummid par hamari ye duniya khari nahin
phir bhi to us ko pane ki KHwahish meri nahin

be-wajh gul-ruKHon se meri be-ruKHi kahan
mere junun-e-shauq ke qabil pari nahin

taskin mile bhi dida-e-hairan ko kis tarah
shishagari nahin kahin jalwagari nahin

bad-rang si bahaar hai fasl-e-bahaar mein
bashshash dil nahin hai tabiat hari nahin

lagta hai aaj shahr ke haalat Thik hain
masjid wagarna kal ki tarah kyun bhari nahin

haalanki mere jurm pe parde paDe rahe
dil ki malamaton se magar main bari nahin

dharti pe dikh rahe hain gunahon ke ab asar
'azam' kahin to KHushki kahin par tari nahin