umid-o-bim ke mehwar se haT ke dekhte hain
zara si der ko duniya se kaT ke dekhte hain
bikhar chuke hain bahut bagh o dasht o dariya mein
ab apne hujra-e-jaan mein simaT ke dekhte hain
tamam KHana-ba-doshon mein mushtarak hai ye baat
sab apne apne gharon ko palaT ke dekhte hain
phir is ke baad jo hona hai ho rahe sar-e-dast
bisat-e-afiyat-e-jaan ulaT ke dekhte hain
wahi hai KHwab jise mil ke sab ne dekha tha
ab apne apne qabilon mein baT ke dekhte hain
suna ye hai ki subuk ho chali hai qimat-e-harf
so hum bhi ab qad-o-qamat mein ghaT ke dekhte hain
Ghazal
Umid-o-bim ke mehwar se haT ke dekhte hain
Iftikhar Arif