ujDe hue logon se gurezan na hua kar
haalat ki qabron ke ye katbe bhi paDha kar
kya jaaniye kyun tez hawa soch mein gum hai
KHwabida parindon ko daraKHton se uDa kar
us shaKHs ke tum se bhi marasim hain to honge
wo jhuT na bolega mere samne aa kar
har waqt ka hansna tujhe barbaad na kar de
tanhai ke lamhon mein kabhi ro bhi liya kar
wo aaj bhi sadiyon ki masafat pe khaDa hai
DhunDa tha jise waqt ki diwar gira kar
ai dil tujhe dushman ki bhi pahchan kahan hai
tu halqa-e-yaran mein bhi mohtat raha kar
is shab ke muqaddar mein sahar hi nahin 'mohsin'
dekha hai kai bar charaghon ko bujha kar
Ghazal
UjDe hue logon se gurezan na hua kar
Mohsin Naqvi