اردو हिंदी
UjDe dil-o-dimagh ko aabaad kar sakun | Shaahi Shayari
ujDe dil-o-dimagh ko aabaad kar sakun

Ghazal

UjDe dil-o-dimagh ko aabaad kar sakun

Suhail Ahmed Zaidi

;

ujDe dil-o-dimagh ko aabaad kar sakun
aisa to kuchh kiya nahin jo yaad kar sakun

aaKHir ko aadmi hun kabhi chahta hai dil
KHud ko tere KHayal se aazad kar sakun

khole zaban wo jo use jaanta na ho
mera to munh nahin hai ki fariyaad kar sakun

ek umr kaT gai magar ab tak hai justuju
din kaTne ka fan koi ijad kar sakun

apne hi gham ghalat hon suKHan se bahut hai ye
aisa hunar kahan ki ise shad kar sakun

barbaad ho ke lauTne wala hun main 'suhail'
aaya tha yun ki dahr ko aabaad kar sakun