ujala de charagh-e-rahguzar aasan nahin hota
hamesha ho sitara ham-safar aasan nahin hota
jo aankhon oT hai chehra usi ko dekh kar jina
ye socha tha ki aasan hai magar aasan nahin hota
baDe taban baDe raushan sitare TuT jate hain
sahar ki rah takna ta-sahar aasan nahin hota
andheri kasni raaten yahin se ho ke guzrengi
jala rakhna koi dagh-e-jigar aasan nahin hota
kisi dard-ashna lamhe ke naqsh-e-pa saja lena
akele ghar ko kahna apna ghar aasan nahin hota
jo Tapke kasa-e-dil mein to aalam hi badal jae
wo ek aansu magar ai chashm-e-tar aasan nahin hota
guman to kya yaqin bhi waswason ki zad mein hota hai
samajhna sang-e-dar ko sang-e-dar aasan nahin hota
na bahlawa na samjhauta judai si judai hai
'ada' socho to KHushbu ka safar aasan nahin hota
Ghazal
Ujala de charagh-e-rahguzar aasan nahin hota
Ada Jafri