ujala dasht-e-junun mein baDhana paDta hai
kabhi kabhi hamein KHema jalana paDta hai
ye masKHaron ko wazife yunhi nahin milte
rais KHud nahin hanste hansana paDta hai
baDi ajib ye majburiyan samaj ki hain
munafiqon se talluq nibhana paDta hai
alawa rah-e-qalandar tamam duniya mein
kisi bhi rah se guzro zamana paDta hai
shikastagi mein bhi kya shan hai imarat ki
ki dekhne ko ise sar uThana paDta hai
kisi ke aib chhupana sawab hai lekin
kabhi kabhi koi parda uThana paDta hai
ghazal ka sher to hota hai bas kisi ke liye
magar sitam hai ki sab ko sunana paDta hai
Ghazal
Ujala dasht-e-junun mein baDhana paDta hai
Azhar Inayati