ufuq ke us par zindagi ke udas lamhe guzar aaun
agar mera sath de sako tum to maut ko bhi pukar aaun
kuchh is tarah ji raha hun jaise uThae phirta hun lash apni
jo tum zara sa bhi do sahaara to bar-e-hasti utar aaun
badal gae zindagi ke mehwar tawaf-e-dair-o-haram kahan ka
tumhaari mahfil agar ho baqi to main bhi parwana-war aaun
koi to aisa maqam hoga jahan mujhe bhi sukun milega
zamin ke tewar badal rahe hain to aasman ko sanwar aaun
agarche israr-e-be-KHudi hai tujhe bhi zar-posh mahfilon mein
mujhe bhi zid hai ki tere dil mein nuqush-e-mazi ubhaar aaun
suna hai ek ajnabi si manzil ko uTh rahe hain qadam tumhaare
bura na mano to rahnumai ko main sar-e-rahguzar aaun
Ghazal
Ufuq ke us par zindagi ke udas lamhe guzar aaun
Qateel Shifai