udas raaton mein tez coffee ki talKHiyon mein
wo kuchh ziyaada hi yaad aata hai sardiyon mein
mujhe ijazat nahin hai us ko pukarne ki
jo gunjta hai lahu mein sine ki dhaDkanon mein
wo bachpana jo udas rahon mein kho gaya tha
main DhunDta hun use tumhaari shararaton mein
use dilase to de raha hun magar ye sach hai
kahin koi KHauf baDh raha hai tasalliyon mein
tum apni poron se jaane kya likh gae the jaanan
charagh raushan hain ab bhi meri hatheliyon mein
jo tu nahin hai to ye mukammal na ho sakengi
teri yahi ahmiyat hai meri kahaniyon mein
mujhe yaqin hai wo tham lega bharam rakhega
ye man hai to diye jalae hain aandhiyon mein
har ek mausam mein raushni si bikherte hain
tumhaare gham ke charagh meri udasiyon mein

Ghazal
Udas raaton mein tez coffee ki talKHiyon mein
Wasi Shah