اردو हिंदी
Udas kaghzi mausam mein rang o bu rakh de | Shaahi Shayari
udas kaghzi mausam mein rang o bu rakh de

Ghazal

Udas kaghzi mausam mein rang o bu rakh de

Bekal Utsahi

;

udas kaghzi mausam mein rang o bu rakh de
har ek phul ke lab par mera lahu rakh de

zaban-e-gul se chaTanen tarashne wale
nigar o naqsh mein aasaish-e-numu rakh de

suna hai ahl-e-KHirad phir chaman sajaenge
junun bhi jeb o gareban pa-e-rafu rakh de

shafaq hai phul hai dipak hai chand bhi hai magar
unhin ke sath kahin saghar o subu rakh de

chala hai jaanib-e-mai-KHana aaj phir waiz
kahin na jam pe lab apne be-wazu rakh de

tamam shahr ko apni taraf jhuka lunga
gham-e-habib mere sar pe hath tu rakh de

giran lage hai jo ehsan dast-e-qatil ka
uTh aur tegh ke lab par rag-e-gulu rakh de

KHuda kare mera munsif saza sunane par
mera hi sar mere qatil ke ru-ba-ru rakh de

samundaron ne bulaya hai tujh ko ai 'bekal'
tu apni pyas ki sahra mein aabru rakh de