udas aankhon se aansu nahin nikalte hain
ye motiyon ki tarah sipiyon mein palte hain
ghane dhuen mein farishte bhi aankh malte hain
tamam raat khujuron ke peD julte hain
main shahrah nahin raste ka patthar hun
yahan sawar bhi paidal utar ke chalte hain
unhen kabhi na batana main un ki aankhon mein
wo log phul samajh kar mujhe masalte hain
kai sitaron ko main jaanta hun bachpan se
kahin bhi jaun mere sath sath chalte hain
ye ek peD hai aa is se mil ke ro len hum
yahan se tere mere raste badalte hain
Ghazal
Udas aankhon se aansu nahin nikalte hain
Bashir Badr