اردو हिंदी
TuTi hui diwar ki taqdir bana hun | Shaahi Shayari
TuTi hui diwar ki taqdir bana hun

Ghazal

TuTi hui diwar ki taqdir bana hun

Raj Narayan Raaz

;

TuTi hui diwar ki taqdir bana hun
main kaisa fasana hun kahan likkha hua hun

koi bhi mere karb se aagah nahin hai
main shaKH se girte hue patte ki sada hun

muTThi mein liye mazi o imroz ki kirnen
main kab se nae daur ki chaukhaT pe khaDa hun

is shahr-e-pur-ashob ke hangama o shar mein
zaitun ki Dali hun kahin shaKH-e-hina hun

gawayya nahin lafzon ke maani se shanasa
idrak ki sarhad pe main chup-chap khaDa hun

simTa to bana phulon ki KHush-rang qabaen
bikhra hun to KHushbu ki tarah phail gaya hun

main 'raaz' chamakta hua jhumar tha kisi ka
ab shab ke samundar mein kahin Dub gaya hun