TuT kar ahd-e-tamanna ki tarah
mo'tabar hum rahe farda ki tarah
shauq-e-manzil to bahut hai lekin
chalte hain naqsh-e-kaf-e-pa ki tarah
ja milenge kabhi gulzaron se
phailte jaenge sahra ki tarah
dekh kar haal-e-pareshan apna
hum bhi hans lete hain duniya ki tarah
kabhi payab kabhi tufani
hum bhi hain dasht ke dariya ki tarah
mahfil-e-naz mein rahiye lekin
dekhiye chashm-e-tamasha ki tarah
apne dushman se hun waqif 'tabish'
kisi derina shanasa ki tarah

Ghazal
TuT kar ahd-e-tamanna ki tarah
Tabish Dehlvi