اردو हिंदी
Tu sath hai magar kahin tera pata nahin | Shaahi Shayari
tu sath hai magar kahin tera pata nahin

Ghazal

Tu sath hai magar kahin tera pata nahin

Akram Naqqash

;

tu sath hai magar kahin tera pata nahin
shaKHon pe dur tak koi patta hara nahin

KHamoshiyan bhari hain fazaon mein in dinon
hum ne bhi mausamon se idhar kuchh kaha nahin

tu ne zaban na kholi suKHan main ne chun liye
tu ne wo paDh liya jise main ne likha nahin

ye kaun si jagah hai ye basti hai kaun si
koi bhi is jahan mein tere siwa nahin

chaliye bahut qarib se sab dekhna hua
apne guman se haT ke kahin kuchh hua nahin

chhoDa hai jaane kis ne mujhe baal-o-par ke sath
ye kin bulandiyon pe jahan par hawa nahin

rang-e-talab hai kaun si manzil mein kya kahen
aankhon mein muddaa nahin lab par sada nahin

pichhe tere ai rahat-e-jaan kuchh na puchhiyo
kya kya hua nahin yahan kya kuchh hua nahin