اردو हिंदी
Tu ne kya kya na ai zindagi dasht o dar mein phiraya mujhe | Shaahi Shayari
tu ne kya kya na ai zindagi dasht o dar mein phiraya mujhe

Ghazal

Tu ne kya kya na ai zindagi dasht o dar mein phiraya mujhe

Shakeb Jalali

;

tu ne kya kya na ai zindagi dasht o dar mein phiraya mujhe
ab to apne dar-o-baam bhi jaante hain paraya mujhe

aur bhi kuchh bhaDakne laga mere sine ka aatish-kada
ras tujh bin na aaya kabhi sabz peDon ka saya mujhe

in nai konpalon se mera kya koi bhi talluq na tha
shaKH se toD kar ai saba KHak mein kyun milaya mujhe

dard ka dip jalta raha dil ka sona pighalta raha
ek Dube hue chand ne raat bhar KHun rulaya mujhe

ab mere raste mein kahin KHauf-e-sahra bhi hail nahin
KHushk patte ne aawargi ka qarina sikhaya mujhe

muddaton ru-e-gul ki jhalak ko tarasta raha main 'shakeb'
ab jo aai bahaar us ne sehn-e-chaman mein na paya mujhe