اردو हिंदी
Tu meri jaan gar nahin aati | Shaahi Shayari
tu meri jaan gar nahin aati

Ghazal

Tu meri jaan gar nahin aati

Meer Asar

;

tu meri jaan gar nahin aati
zist hoti nazar nahin aati

dilrubai o dilbari tujh ko
go ki aati hai par nahin aati

haal-e-dil misl-e-shama raushan hai
go mujhe baat kar nahin aati

har dam aati hai garche aah par aah
par koi kargar nahin aati

kya kahun aah main kisu ke huzur
nind kis baat par nahin aati

nahin malum dil pe kya guzri
in dinon kuchh KHabar nahin aati

kije na-mehrbani hi aa kar
mehrbani agar nahin aati

din kaTa jis tarah kaTa lekin
raat kaTti nazar nahin aati

zahiran kuchh siwae mehr-o-wafa
baat tujh ko 'asar' nahin aati