اردو हिंदी
Tu KHud bhi nahin aur tera sani nahin milta | Shaahi Shayari
tu KHud bhi nahin aur tera sani nahin milta

Ghazal

Tu KHud bhi nahin aur tera sani nahin milta

Zafar Hameedi

;

tu KHud bhi nahin aur tera sani nahin milta
paigham tera teri zabani nahin milta

main bich samundar mein hun aur pyas se betab
pine ko to ek bund bhi pani nahin milta

duniya ke karishmon mein muamma to yahi hai
duniya ke karishmat ka bani nahin milta

mera bhi to ek dost tha gham banTne wala
ab dasht-e-bala mein wahi jaani nahin milta

jo marta hai ji uThta hai wo rup badal kar
mujh ko to yahan koi bhi fani nahin milta

shahkar si taswir meri koi banata
bahzad mayassar nahin mani nahin milta

kabe ke kisi goshe mein mil jaega shayad
but-KHane mein firdaus-makani nahin milta

uslub purane hain to alfaz hain be-rang
nadir sa 'zafar' tarz-e-lisani nahin milta