tu ghazal ban ke utar baat mukammal ho jae
muntazir dil ki munajat mukammal ho jae
umr bhar milte rahe phir bhi na milne pae
is tarah mil ki mulaqat mukammal ho jae
din mein bikhra hun bahut raat sameTegi mujhe
tu bhi aa ja to meri zat mukammal ho jae
nind ban kar meri aankhon se mere KHun mein utar
rat-jaga KHatm ho aur raat mukammal ho jae
main sarapa hun dua tu mera maqsud-e-dua
baat yun kar ki meri baat mukammal ho jae
abr aankhon se uThe hain tera daman mil jae
hukm ho tera to barsat mukammal ho jae
tere sine se mere sine mein aayat utren
sura-e-kashf-o-karamat mukammal ho jae
tere lab mohr laga den to ye qissa ho tamam
daftar-e-tul-e-shikayat mukammal ho jae
tujh ko pae to 'wahid' apne KHuda ko pa le
kawish-e-marfat-e-zat mukammal ho jae
Ghazal
Tu ghazal ban ke utar baat mukammal ho jae
Waheed Akhtar