اردو हिंदी
Tu bhi to ek lafz hai ek din mere bayan mein aa | Shaahi Shayari
tu bhi to ek lafz hai ek din mere bayan mein aa

Ghazal

Tu bhi to ek lafz hai ek din mere bayan mein aa

Atiiqullah

;

tu bhi to ek lafz hai ek din mere bayan mein aa
mere yaqin mein gasht kar meri hadd-e-guman mein aa

nindon mein dauDta hua teri taraf nikal gaya
tu bhi to ek din kabhi mere hisar-e-jaan mein aa

ek shab hamare sath bhi KHanjar ki nok par kabhi
larzida chashm-e-nam mein chal jalte hue makan mein aa

narghe mein doston ke tu kab tak rahega surKH-ru
neza-ba-neza du-ba-du-saf-ha-e-dushmanan mein aa

ek roz fikr-e-ab-o-nan tujh ko bhi ho jaan-e-jahan
qaus-e-abad ko toD kar is arsa-e-ziyan mein aa