tu bhi fariyaadi hua tha iltija main ne bhi ki
tu na tha mujrim akela han KHata main ne bhi ki
zulm donon ne kiya tha donon the is mein sharik
ibtida gar tu ne ki to intiha main ne bhi ki
sirf tu ne hi nahin ki justuju-e-chaara-gar
dard jab had se baDha to kuchh dawa main ne bhi ki
kis ne kya manga falak se aur kis ko kya mila
hath tu ne bhi uThae the dua main ne bhi ki
main tera hissa na ban paya ye achchha hi hua
go ye KHwahish ai hujum-e-dil-ruba main ne bhi ki
sabza-e-begana se rishta mera kuchh kam nahin
is chaman ki aabyari ai ghaTa main ne bhi ki
Ghazal
Tu bhi fariyaadi hua tha iltija maine bhi ki
Obaid Siddiqi

