tu apni aawaz mein gum hai main apni aawaz mein chup
donon bich khaDi hai duniya aaina-e-alfaz mein chup
awwal awwal bol rahe the KHwab-bhari hairani mein
phir hum donon chale gae patal se gahre raaz mein chup
KHwab-sara-e-zat mein zinda ek to surat aisi hai
jaise koi dewi baiThi ho hujra-e-raaz-o-niyaz mein chup
ab koi chhu ke kyun nahin aata udhar sire ka jiwan-ang
jaante hain par kya batlaen lag gai kyun parwaz mein chup
phir ye khel-tamasha sara kis ke liye aur kyun sahab
jab is ke anjam mein chup hai jab is ke aaghaz mein chup
nind-bhari aankhon se chuma diye ne suraj ko aur phir
jaise sham ko ab nahin jalna khinch li is andaz mein chup
ghaib-samay ke gyan mein pagal kitni tan lagaega
jitne sur hain saz se bahar us se ziyaada saz mein chup
Ghazal
Tu apni aawaz mein gum hai main apni aawaz mein chup
Obaidullah Aleem