tu aap ko poshida o iKHfa na samajhna
main dekh raha hun mujhe andha na samajhna
kam sher-e-zhiyan se mera rutba na samajhna
kutta hun ali ka sag-e-duniya na samajhna
go zar hua hun magar imdad-e-junun se
hai dew ki taqat mujhe murda na samajhna
ham-rah mere rahti hai har dam madad-e-ghaib
lakhon pe hun bhaari mujhe tanha na samajhna
bazm-e-gham-e-shappir mein jo chashm se nikle
har ashk ko tasbih ka ek dana samajhna
jo dil ki mubarra ho mohabbat se jahan ki
us dil ko dila yar ka kashana samajhna
nama jo likha hai use rakh chhoDiyo sahib
wo KHatt-e-ghulami hai nawishta na samajhna
kafir hun na phunkun jo tere kaba mein ai shaiKH
naqus baghal mein hai musalla na samajhna
didar dikha dijiye ghash aaen to aaen
aashiq hun main aashiq mujhe musa na samajhna
rakhna na tawaqqoa dil-e-nadan tu kisi se
us waqt mein apnon ko bhi begana samajhna
hasil nahin samjhane se naseh tu samajh to
kya samjhe bhala ye dil-e-diwana samajhna
bahka hua aashiq nazar aa jae jo koi
is chashm-e-fusun-saz ka diwana samajhna
chahun to nikal jaun abhi pech se tere
uljha mujhe o zulf-e-chalipa na samajhna
sar kaT ke jo qadmon pe gire rah-e-wafa mein
ye bhi madad-e-himmat-e-mardana samajhna
sehhat teri mumkin nahin sun rakh dil-e-bimar
ye gorkan aaya hai masiha na samajhna
har haal mein KHursand hun tum KHush ho ki na-KHush
banda hun mujhe aashiq-e-shaida na samajhna
pilwa de mai-e-hosh-ruba dekh mera zarf
saqi jo bahak jaun to diwana samajhna
aa jae koi Dher agar paon ke niche
ai sham-ruKHo marqad-e-parwana samajhna
dekho kisi chehre pe jo gesu koi bal-dar
afi hai use zulf-e-chalipa na samajhna
juya hai agar rutba-e-ali ka jahan mein
adna se bhi KHud ko kabhi aala na samajhna
ai 'rind' na Tikna kabhi arbab-e-wara pas
mil baiThna us se jise rindana samajhna
Ghazal
Tu aapko poshida o iKHfa na samajhna
Rind Lakhnavi