اردو हिंदी
Tumhaari chashm ne mujh sa na paya | Shaahi Shayari
tumhaari chashm ne mujh sa na paya

Ghazal

Tumhaari chashm ne mujh sa na paya

Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

;

tumhaari chashm ne mujh sa na paya
diya surma bhi aur chipka na paya

KHuda ko kya kahun paya na paya
ki wasl-e-be-KHudi asla na paya

bahut surat ko main tarsa na paya
na paya wo bahut tarsa na paya

sahab-e-tar ne bahr-e-KHushk sab ne
hamara dida-e-tar sa na paya

chale hum dil jale is bazm se yar
jale hathon se ek beDa na paya

sada suraj ne din bhar us ko DhunDa
kabhi wo chand ka TukDa na paya

bahut achchha hua achchhi hai qismat
mariz-e-ishq ko achchha na paya

jo is gardan ka naqsha hai wo hum ne
surahi-dar moti ka na paya

durr-e-ashk-e-musalsal ai shah-e-ishq
teri daulat se ye sehra na paya

bahut sidha banaunga falak ko
ki is kaj ko kabhi sidha na paya