tumhaare liye muskuraati sahar hai
hamare liye raat ka ye nagar hai
akele yahan baiTh kar kya karenge
bulaya hai jis ne hamein wo kidhar hai
pareshan hun kis kis ka surma banaun
yahan to har ek ki usi par nazar hai
ujala hain ruKHsar jadu hain aankhen
ba-zahir wo sab ki tarah ek bashar hai
wo jis ne hamesha hamein dukh diye hain
tamasha to ye hai wahi chaaragar hai
nikal kar wahan se kahin dil na Thahra
bichaara abhi tak yahan dar-ba-dar hai
kisi din ye patthar bhi baaten karega
mohabbat ki nazron mein itna asar hai
jo palkon se gir jae aansu ka qatra
jo palkon mein rah jaega wo guhar hai
wo zillat wo KHwari bhi us ke sabab thi
mohabbat ka sehra bhi us dil ke sar hai
koi aa raha hai koi ja raha hai
samajhte hain duniya ko KHala ka ghar hai
na koi payam us ki jaanib se aaya
na milta kahin ab mera nama-bar hai
Ghazal
Tumhaare liye muskuraati sahar hai
Fawad Ahmad