اردو हिंदी
Tumhaare husn ki tasKHir aam hoti hai | Shaahi Shayari
tumhaare husn ki tasKHir aam hoti hai

Ghazal

Tumhaare husn ki tasKHir aam hoti hai

Behzad Lakhnavi

;

tumhaare husn ki tasKHir aam hoti hai
ki ek nigah mein duniya tamam hoti hai

jahan pe jalwa-e-jaanan hai anjuman-ara
wahan nigah ki manzil tamam hoti hai

wahi KHalish wahi sozish wahi tapish wahi dard
hamein sahar bhi ba-andaz-e-sham hoti hai

nigah-e-husn mubarak tujhe dar-andazi
kabhi kabhi meri mahfil bhi aam hoti hai

zahe nasib mein qurban apni qismat ke
tere liye meri duniya tamam hoti hai

namaz-e-ishq ka hai inhisar ashkon tak
ye be-niyaz-e-sujud-o-qayam hoti hai

teri nigah ke qurban teri nigah ki Tis
ye na-tamam hi rah kar tamam hoti hai

wahan pe chal mujhe le kar mere samand-e-KHayal
jahan nigah ki masti haram hoti hai

kisi ke zikr se 'bahzad' mubtala ab tak
jigar mein ek KHalish-e-na-tamam hoti hai