tumhaare hath se kal hum bhi ro liye sahib
jigar ke dagh jo dhone the dho liye sahib
ghulam aashiq o chaakar musahib o hamraaz
gharaz jo tha hamein hona so ho liye sahib
qarar-o-sabr jo karne the kar chuke barbaad
hawas-o-hosh jo khone the kho liye sahib
hamare wazn-e-mohabbat mein kuchh ho farq to ab
phir imtihan ki taraazu mein tauliye sahib
kuchh intiha-e-buka ho to aur bhi yak-chand
sarishk-e-chashm se moti ko roliye sahib
kal us sanam ne kaha dekh kar hamein KHamosh
ki ab to aap bhi Tuk lab ko kholiye sahib
ye sun ke main ne 'nazir' us se yun kaha hans kar
jo koi bole to albatta boliye sahib

Ghazal
Tumhaare hath se kal hum bhi ro liye sahib
Nazeer Akbarabadi