tumhaare baad raha kya hai dekhne ke liye
agarche ek zamana hai dekhne ke liye
koi nahin jo wara-e-nazar bhi dekh sake
har ek ne use dekha hai dekhne ke liye
badal rahe hain zamane ke rang kya kya dekh
nazar uTha ki ye duniya hai dekhne ke liye
zara jo fursat-e-nazzargi mayassar ho
to ek pal mein bhi kya kya hai dekhne ke liye
guzar raha hai jo chehre pe hath rakkhe hue
ye dil usi ko tarasta hai dekhne ke liye
nahin hai tab-e-nazzara hi 'aftab' husain
wagarna dahr mein kya kya hai dekhne ke liye
Ghazal
Tumhaare baad raha kya hai dekhne ke liye
Aftab Hussain