tumhaara qurb wajh-e-iztirab-e-dil na ban jae
ye mushkil sahl ho kar phir kahin mushkil na ban jae
are o tishna-lab ye pyas ye andaz pine ka
samundar ghaTte ghaTte dur tak sahil na ban jae
ye mashkuk aadmi luTe hain jis ne karwan barson
dua mangun kahin ye rahbar-e-manzil na ban jae
chala to hun tera baKHsha hua zauq-e-talab le kar
KHayal is ka rahe ye sai-e-la-hasil na ban jae
jise meri mohabbat ne sarapa lutf samjha hai
kisi ruKH se wahi insan mera qatil na ban jae
nazar apni rahe us waqt tak mamnun-e-nazzara
dil-e-jalwa-talab jab tak mah-e-kaamil na ban jae
kisi ko 'ramz' mazlumi ke is ehsas ne mara
wo apnon ki nazar mein rahm ke qabil na ban jae

Ghazal
Tumhaara qurb wajh-e-iztirab-e-dil na ban jae
Ramz Afaqi