tuman raushni bin haman raushni nah
tu didar bin sabhi didar hain kah
sabhi jhaD kun pat-jhaDi baw aaya
chakar khans par hai nazar tu disun shah
tuman KHyal seti hamein KHyal bandhe
raqiban na bujhen ye baat aah hai aah
namazan karun raat din malne kyan main
hawa munj kun rozi zulhamdulillah
andhaare ke baadal munje beDi chau-pahr
KHudaya tu bhejen haman baad-e-dil-KHwah
kata sabr fariyaad kar chup na rah tun
karun aah aahan tun nin hota aagah
hua be-qarar aah aahan te main ab
nazar ba-munj upar dasunga ki jiyun mah
karega agar yaad wo munj dukhi kun
karun yaad agar kis kun astaghfirullah
'maani' hai aajiz teri KHidmatan mein
nahin sud-bud us kun tun kar sab the aagah
Ghazal
Tuman raushni bin haman raushni nah
Quli Qutub Shah

