tum yun hi samajhna ki fana mere liye hai
par ghaib se saman-e-baqa mere liye hai
paigham mila tha jo husain ibn-e-ali ko
KHush hun wahi paigham-e-qaza mere liye hai
ye hur-e-bahishti ki taraf se hai bulawa
labbaik ki maqtal ka sila mere liye hai
kyun jaan na dun gham mein tere jab ki abhi se
matam ye zamane mein bapa mere liye hai
main kho ke teri rah mein sab daulat-e-duniya
samjha ki kuchh is se bhi siwa mere liye hai
tauhid to ye hai ki KHuda hashr mein kah de
ye banda zamane se KHafa mere liye hai
surKHi mein nahin dast-e-hina-basta bhi kuchh kam
par shoKHi-e-KHun-e-shohda mere liye hai
rahil hun musalman ba-sad-nara-e-takbir
ye qafila ye bang-e-dara mere liye hai
inam ka uqba ke to kya puchhna lekin
duniya mein bhi iman ka sila mere liye hai
kyun aise nabi par na fida hun ki jo farmae
achchhe to sabhi ke hain bura mere liye hai
ai shafa-e-mahshar jo kare tu na shafaat
phir kaun wahan tere siwa mere liye hai
allah ke raste hi mein maut aae masiha
iksir yahi ek dawa mere liye hai
ai chaaragaro chaaragari ki nahin hajat
ye dard hi daru-e-shifa mere liye hai
kya Dar hai jo ho sari KHudai bhi muKHalif
kafi hai agar ek KHuda mere liye hai
jo sohbat-e-aghyar mein is darja ho bebak
us shoKH ki sab sharm o haya mere liye hai
hai zulm tera aam bahut phir bhi sitamgar
maKHsus ye andaz-e-jafa mere liye hai
hain yun to fida abr-e-siyah par sab hi mai-kash
par aaj ki ghanghor ghaTa mere liye hai
Ghazal
Tum yun hi samajhna ki fana mere liye hai
Mohammad Ali Jauhar