tum pasina mat kaho hai jaan-fishani ka libas
dhup mein chalte hue rakhte hain pani ka libas
parda-poshi kam se kam hoti hai har kirdar ki
pairahan lafzon ka banta hai kahani ka libas
phir ujale se safar hoga andhere ki taraf
jab utarenge badan se umr-e-fani ka libas
sath chalte hain chahakte bolte ilzam bhi
be-shikan hota nahin yaro jawani ka libas
inqilab-e-waqt ka ye bhi karishma dekhiye
hai numaish ke liye ab aan-jahani ka libas
muflisi ne kar diya hai us ki KHuddari ka KHun
wo pahanta hai kisi ki mehrbani ka libas
hukmaran to dafn hain tariKH ke auraq mein
dars-e-ibrat de raha hai hukmarani ka libas
jagmagata hai ghazal ke jism par har daur mein
maila hota hi nahin jadu-bayani ka libas
chand saat bhi KHushi ki apni qismat mein kahan
ras kab aaya hai mujh ko shadmani ka libas
'ramz' wo ahd-e-ghulami ho ki daur-e-hurriyat
ishtihaar-e-muflisi hindustani ka libas

Ghazal
Tum pasina mat kaho hai jaan-fishani ka libas
Ramz Azimabadi