tum apne shikwe ki baaten na khod khod ke puchho
hazar karo mere dil se ki is mein aag dabi hai
dila ye dard-o-alam bhi to mughtanim hai ki aaKHir
na girya-e-sahari hai na aah-e-nim-shabi hai
nazar ba-naqs-e-gadayan kamal-e-be-adabi hai
ki KHar-e-KHushk ko bhi dawa-e-chaman-nasabi hai
hua visal se shauq-e-dil-e-haris ziyaada
lab-e-qadah pe kaf-e-baada josh-e-tishna-labi hai
KHusha wo dil ki sarapa tilism-e-be-KHabari ho
junun o yas o alam rizq-e-muddaa-talabi hai
chaman mein kis ke ye barham hui hai bazm-e-tamasha
ki barg barg-e-saman shisha reza-e-halabi hai
imam-e-zahir-o-baatin amir-e-surat-o-mani
'ali' wali asadullah jaanashin-e-nabi hai
Ghazal
Tum apne shikwe ki baaten na khod khod ke puchho
Mirza Ghalib