tum apna ranj-o-gham apni pareshani mujhe de do
tumhein gham ki qasam is dil ki virani mujhe do
ye mana main kisi qabil nahin hun in nigahon mein
bura kya hai agar ye dukh ye hairani mujhe de do
main dekhun to sahi duniya tumhein kaise satati hai
koi din ke liye apni nigahbani mujhe de do
wo dil jo main ne manga tha magar ghairon ne paya hai
baDi shai hai agar us ki pashemani mujhe de do
Ghazal
Tum apna ranj-o-gham apni pareshani mujhe de do
Sahir Ludhianvi