tum agar do na pairahan apna
charKH se mang lun kafan apna
aage karte the is tarah pamal
yaad to kijiye chalan apna
aaj hum jaan dene aae hain
kuchh dikhate ho bankpan apna
shana zulfon mein wan nahin uljha
sanp dikhla raha hai phan apna
yaad rakhiyo hamari pamali
bhuliyo mat kabhi chalan apna
ya kaho hum kuen mein Dub maren
ya dikhao kucha-e-zaqan apna
hum wo bulbul nahin jo bagh ko jaen
kucha-e-yar hai chaman apna
hum ko dikhla ke tang karte hain
gah kamar apni gah dahan apna
jis ko kahte hain log shahr kaDa
ai 'saKHi' hai wahi watan apna

Ghazal
Tum agar do na pairahan apna
Sakhi Lakhnvi