tujhe main milun to kahan milun mera tujh se rabt muhaal hai
teri bazm bazm-e-nashat hai meri bazm bazm-e-KHayal hai
tera dil nahin tere hath mein mujhe dekh main hun girafta-dil
mera jabr meri najat hai ye mere hunar ka kamal hai
na tu ham-zaban na tu ham-zaman mera tujh se kaisa moamla
mera ahd ahd-e-kamal-e-gham tera ahd ahd-e-zawal hai
main hun kam-talab tu hai kam-nazar main nawa-e-dil tu hawa-e-dil
meri dastaras mein hain kul zaman tu asir-e-lamha-e-haal hai
wo hai naqd-e-zar teri aarzu ye hai naqd-e-dil meri aarzu
tera naqd rizq-e-haram hai mera naqd rizq-e-halal hai
teri justuju meri gumrahi teri intiha meri ibtida
teri zist tera jawab hai meri zist mera sawal hai
tujhe karobar ko din mila mujhe kahish-e-shab-e-gham mili
mujhe KHwahish-e-gham-e-agahi tujhe KHwahish-e-zar-o-mal hai
mujhe sun tarana-e-dard mein mujhe dekh chehra-e-zard mein
mujhe DhunD gham ki panah mein ki wo mera shamil-e-haal hai
main hun 'baqar' aise maqam par nahin kam-nazar ka jahan guzar
ye ajib manzil-e-shauq hai ki na hijr hai na visal hai

Ghazal
Tujhe main milun to kahan milun mera tujhse rabt muhaal hai
Sajjad Baqar Rizvi