tujhe kho kar bhi tujhe paun jahan tak dekhun
husn-e-yazdan se tujhe husn-e-butan tak dekhun
tu ne yun dekha hai jaise kabhi dekha hi na tha
main to dil mein tere qadmon ke nishan tak dekhun
sirf is shauq se puchhi hain hazaron baaten
main tera husn tere husn-e-bayan tak dekhun
mere virana-e-jaan mein teri yaadon ke tufail
phul khilte nazar aate hain jahan tak dekhun
waqt ne zehn mein dhundla diye tere KHad-o-KHal
yun to main TuTte taron ka dhuan tak dekhun
dil gaya tha to ye aankhen bhi koi le jata
main faqat ek hi taswir kahan tak dekhun
ek haqiqat sahi firdaus mein huron ka wajud
husn-e-insan se nimaT lun to wahan tak dekhun
Ghazal
Tujhe kho kar bhi tujhe paun jahan tak dekhun
Ahmad Nadeem Qasmi