اردو हिंदी
Tujhe badnam karne par tuli hai | Shaahi Shayari
tujhe badnam karne par tuli hai

Ghazal

Tujhe badnam karne par tuli hai

Mazhar Imam

;

tujhe badnam karne par tuli hai
gali har rah-rau ko Tokti hai

mera qissa magar tujh se tahi se
teri baaton mein kya shaistagi hai

sukut-e-dasht be-KHwabi mein pahron
sada-e-barbat-e-shab gunjti hai

wahin tak hai khanDar ki aaKHiri had
jahan tak chandni phaili hui hai

meri taKHil ke afsurda lab par
wo apne honT rakh kar so gai hai