tujh se wahshat mein bhi ghafil kab tera diwana tha
dil mein teri yaad thi lab par tera afsana tha
raat jo zahid sharik-e-jalsa-e-rindana tha
thi surahi KHanda-lab gardish mein har paimana tha
mai-kada be-jam-e-chashm-e-yar matam-KHana tha
dida-e-pur-KHun meri aankhon mein har paimana tha
ho gaya tha mujh ko jis din se asiri ka KHayal
meri aankhon mein to us din se chaman virana tha
bazm-e-saqi mein tahi-dasti ne kho di aabru
baKHt-e-bad apna sharik-e-gardish-e-paimana tha
main gila qismat ka karta tha to sote the nasib
shikwa-e-taqdir bahr-e-KHwab baKHt afsana tha
baDh gae miTne se tere dushmanon ke hausle
ai mariz-e-dard-o-gham tujh ko abhi marna na tha
main ne nahaq hi 'rashid'-e-zar ko ruswa kiya
aap ke sar ki qasam wo aap ka diwana tha
Ghazal
Tujhse wahshat mein bhi ghafil kab tera diwana tha
Rasheed Rampuri

