tujh se TuTa rabt to phir aur kya rah jaega
intishaar-e-zat ka ek silsila rah jaega
qurbaten miT jaengi aur fasla rah jaega
chand yaadon ke siwa bas aur kya rah jaega
ye taghaful ek din ek saneha ban jaega
aks to kho jaega aur aaina rah jaega
waqt mein lamha sa main tahlil hota jaunga
KHali aankhon se ye manzar dekhta rah jaega
ek shair ek hasin se sher ki KHatir miTa
waqt ki tahwil mein ye waqia rah jaega
sard-mehri ke kohar mein us ka chehra kya mile
in dhundlakon mein use tu DhunDhta rah jaega
ek saya narm-o-nazuk chhoD kar jo chal diya
sar pe suraj ek musafir rasta rah jaega

Ghazal
Tujhse TuTa rabt to phir aur kya rah jaega
Syed Shakeel Desnavi