tujh se mil kar to ye lagta hai ki ai ajnabi dost
tu meri pahli mohabbat thi meri aaKHiri dost
log har baat ka afsana bana dete hain
ye to duniya hai meri jaan kai dushman kai dost
tere qamat se bhi lipTi hai amar-bel koi
meri chahat ko bhi duniya ki nazar kha gai dost
yaad aai hai to phir TuT ke yaad aai hai
koi guzri hui manzil koi bhuli hui dost
ab bhi aae ho to ehsan tumhaara lekin
wo qayamat jo guzarni thi guzar bhi gai dost
tere lahje ki thakan mein tera dil shamil hai
aisa lagta hai judai ki ghaDi aa gai dost
barish-e-sang ka mausam hai mere shahr mein to
tu ye shishe sa badan le ke kahan aa gai dost
main use ahd-shikan kaise samajh lun jis ne
aaKHiri KHat mein ye likkha tha faqat aap ki dost
Ghazal
Tujhse mil kar to ye lagta hai ki ai ajnabi dost
Ahmad Faraz