tujh se gile karun tujhe jaanan manaun main
ek bar apne-ap mein aaun to aaun main
dil se sitam ki be-sar-o-kari hawa ko hai
wo gard uD rahi hai ki KHud ko ganwaun main
wo nam hun ki jis pe nadamat bhi ab nahin
wo kaam hain ki apni judai kamaun main
kyunkar ho apne KHwab ki aankhon mein wapsi
kis taur apne dil ke zamanon mein jaun main
ek rang si kaman ho KHushbu sa ek tir
marham si wardat ho aur zaKHm khaun main
shikwa sa ek daricha ho nashsha sa ek sukut
ho sham ek sharab si aur laDkhaDaun main
phir us gali se apna guzar chahta hai dil
ab us gali ko kaun si basti se laun main
Ghazal
Tujhse gile karun tujhe jaanan manaun main
Jaun Eliya