اردو हिंदी
Tujhse bhi hasin hai tere afkar ka rishta | Shaahi Shayari
tujhse bhi hasin hai tere afkar ka rishta

Ghazal

Tujhse bhi hasin hai tere afkar ka rishta

Rasheed Qaisrani

;

tujh se bhi hasin hai tere afkar ka rishta
tu mang le mujh se mere ashaar ka rishta

wo dhup mein nikhra hua billor sa paikar
chandi sa chamakta hua didar ka rishta

tanhai mein pahunche to sabhi the tahi-daman
bazar mein chhoD aae the bazar ka rishta

ek aur girah sans ki Dori mein paDegi
yaad aaya mujhe bhula hua pyar ka rishta

afkar ke jangal mein khaDa soch raha hun
kis tarah maani se ho izhaar ka rishta

kyun yaad dilate ho 'rashid' un ko ye bandhan
ab kaun nibhata hai ye bekar ka rishta