اردو हिंदी
Tujh mein kab husn-e-bahaar-e-gul ki ranai na thi | Shaahi Shayari
tujh mein kab husn-e-bahaar-e-gul ki ranai na thi

Ghazal

Tujh mein kab husn-e-bahaar-e-gul ki ranai na thi

Jauhar Zahiri

;

tujh mein kab husn-e-bahaar-e-gul ki ranai na thi
kab tere jalwon ki ek duniya tamashai na thi

zindagi-bhar aarzu ka KHun hi hota raha
lab pe lekin ek din bhi aah tak aai na thi

ye ghalat hai mera sajda wajh-e-ruswai hua
rashk-e-mehrab-e-haram kab teri angDai na thi

ishq hai ek aatish-e-dil-soz mein jalne ka nam
hum ko to roz-e-azal ye baat samjhai na thi

hum rahe hain manzilon hi manzilon mein umr-bhar
jaise qismat mein kisi pahlu shakebai na thi

ek chaman kya do-jahan ki aafaton se dur tha
ghuncha-e-nauras ke lab tak jab hansi aai na thi

kya kahun 'jauhar' jo mere jaan-o-dil par ban gai
maut ka paigham tha ek sham-e-tanhai na thi