tujh chehra-e-gul-rang nin KHuban ko gul-guni diya
tere lab yaqut ne mujh dil kun pur-KHuni diya
diwana ho ghar chhoD kar jata raha sahra taraf
ai rashk-e-laila tu ne jab aashiq ko majnuni diya
mazmun aali bandhta hun tere qad ki wasf mein
mujh taba kun sohbat ne teri jab se mauzuni diya
barja hai gar maghrur hun apne dilan mein shairan
nirKH-e-suKHan kun tujh suKHan-fahmi ne afzuni diya
farhat ki surat nin nazar aai mujhe ai nur-e-chashm
teri judai mein magar aalam ko mahzuni diya
didar ki hai ishtiha saf ai tabib-e-mehrban
tujh shauq ne goya mujhe majun-zaruni diya
kahte hain sare barahman mujh 'mubtala' sun ai sanam
zunnar-e-gesu khol tun har dil kun baftuni diya

Ghazal
Tujh chehra-e-gul-rang nin KHuban ko gul-guni diya
Obaidullah Khan Mubtala