tohmat-e-chand apne zimme dhar chale
jis liye aae the so hum kar chale
zindagi hai ya koi tufan hai!
hum to is jine ke hathon mar chale
kya hamein kaam in gulon se ai saba
ek dam aae idhar, udhar chale
dosto! dekha tamasha yan ka sab
tum raho KHush hum to apne ghar chale
aah! bas mat ji jala tab jaaniye
jab koi afsun tera us par chale
ek main dil-rish hun waisa hi dost
zaKHm kitnon ke suna hai bhar chale
shama ke manind hum is bazm mein
chashm-tar aae the daman-tar chale
DhunDhte hain aap se us ko pare
shaiKH sahib chhoD ghar, bahar chale
hum na jaane pae bahar aap se
wo hi aaDe aa gaya jidhar chale
hum jahan mein aae the tanha wale
sath apne ab use le kar chale
jun sharar ai hasti-e-be-bud yan
bare hum bhi apni bai bhar chale
saqiya! yan lag raha hai chal-chalaw
jab talak bas chal sake, saghar chale
'dard' kuchh malum hai ye log sab
kis taraf se aae the kidhar chale
Ghazal
Tohmat-e-chand apne zimme dhar chale
Khwaja Meer u0027Dardu0027