اردو हिंदी
Teri nigah ka andaz kya nazar aaya | Shaahi Shayari
teri nigah ka andaz kya nazar aaya

Ghazal

Teri nigah ka andaz kya nazar aaya

Baqi Siddiqui

;

teri nigah ka andaz kya nazar aaya
daraKHt se hamein saya juda nazar aaya

bahut qarib se aawaz ek aai thi
magar chale to baDa fasla nazar aaya

ye raste ki lakiren bhi gum na ho jaen
wo jhaDiyon ka naya silsila nazar aaya

ye raushni ki kiran hai ki aag ka shoala
har ek ghar mujhe jalta hua nazar aaya

kali kali ki sada gunjne lagi dil mein
jahan bhi koi chaman-ashna nazar aaya

suno to kis liye patthar uThae phirte ho
kaho to aaina-KHane mein kya nazar aaya

ye dopahar ye pighalti hui saDak 'baqi'
har ek shaKHs phisalta hua nazar aaya