اردو हिंदी
Teri mahfil mein soz-e-jawedani le ke aaya hun | Shaahi Shayari
teri mahfil mein soz-e-jawedani le ke aaya hun

Ghazal

Teri mahfil mein soz-e-jawedani le ke aaya hun

Sufi Tabassum

;

teri mahfil mein soz-e-jawedani le ke aaya hun
mohabbat ki mata-e-ghair-fani le ke aaya hun

main aaya hun fusun-e-jazba-e-dil aazmane ko
nigah-e-shauq ki jadu-bayani le ke aaya hun

main aaya hun sunane qissa-e-gham sard aahon mein
Dhalakte aansuon ki be-zabani le ke aaya hun

main tohfa le ke aaya hun tamannaon ke phulon ka
luTane ko bahaar-e-zindagani le ke aaya hun

bayan jis ko kiya karti thin meri na-tawan nazren
wahi dard-e-mohabbat ki kahani le ke aaya hun

agarche aalam-e-fani ki har ek chiz fani hai
magar mein hun ki ishq-e-jawedani le ke aaya hun