اردو हिंदी
Teri bazm se jo uTh kar tere jaan-nisar aae | Shaahi Shayari
teri bazm se jo uTh kar tere jaan-nisar aae

Ghazal

Teri bazm se jo uTh kar tere jaan-nisar aae

Mubeen Mirza

;

teri bazm se jo uTh kar tere jaan-nisar aae
dil o jaan ka sab asasa tere dar pe war aae

tera ishq ban gaya hai meri zist ki masafat
ki main ab jahan bhi jaun teri rahguzar aae

teri yaad aaj aaise dil-e-mubtala mein aai
sar-e-dasht-e-sham jaise shab-e-nau-bahaar aae

gham-e-zindagi main tujh par dil o jaan nisar kar dun
gham-e-arzu mein Dhal kar tu jo ek bar aae

tere ishq ki badaulat koi ranj ho ki rahat
sar-e-zindagi jo aae sabhi yaadgar aae