teri aankhon ko tere husn ka dar jaana tha
hum ne dariya ko hi dariya ka safar jaana tha
muntazir the tere malbus ke sukhe hue phul
wo jinhen tere pahanne se sanwar jaana tha
izn-dar-izn chamakte the sitare dil ke
aaj sab ko teri aankhon mein utar jaana tha
reza-e-kuhl ke manind kisi roz hamein
teri palkon ke kinare pe bikhar jaana tha
wae is dil ko na deni thi kabhi ruKHsat-e-hijr
tere honTon ke qadam chum ke mar jaana tha
aur phir yun hai ki rakhti thin jo is dil ko KHarab
un nigahon ko teri aur sanwar jaana tha

Ghazal
Teri aankhon ko tere husn ka dar jaana tha
Syed Kashif Raza